Tuesday, May 15, 2007

Safar..

hazaaro chehre hein mehfil mein..
har chehra ek nayi kitaab..
na jyada milta hai na kam..
kyunki woh rakhta hai poora hisaab..

andhera wahin dikhta hai..
jahan hua karta tha prakash..
sannata wahin mehsoos hota hai..
janah kabhi sunai deti thi uski awaaz..

kyun chaand ki kashish rehti hai..
jab taare mere saath hein..
kyun aasmaan mein udne ki chaah hai..
jab zameen par meri raah hai..

chalna hai musafir ka naseeb..
musafir hun, ye hai meri takdeer..
fir kyun ruk jaata hun mein..
jab meri takdeer hi hai mera naseeb..

No comments: