Tuesday, April 28, 2009

Main Aur Meri Tanhaayee

Awaara hai galiyon mein main aur meri tanhaayee
Jaayen to kahan jaayen har mod pe ruswayee
Main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

Ye phool se chehre hain hanste huye guldaste
Koi bhee nahin apna begaane hain sab raste
Raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee
Main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

Armaan sulagte hain seene mein chitha jaise
Qaatil nazar aati hai duniya ke hawa jaise
Roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee
Main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

Har rang mein ye duniya sau rang dikhaati hai
Rokar kabhi hansti hai hanskar kabhi gaati hai
Ye pyaar ki baahen hain ya maut ki angdaayee
Main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

- Jagjit Singh

Thursday, March 12, 2009

Safar Me Dhoop To Hogi - Jagjit Singh

Safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo
Sabhi hain bheed mein tum bhee nikal sako to chalo

Kisi ke waaste raahen kahan badalti hai
Tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo

Yahan kisi ko koi raasta nahin deta
Mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo

Yahi hai zindagi kuch khwaab chand ummeeden
Inhi khilonon se tum bhee bahal sako to chalo

- Jagjit Singh

Tuesday, January 20, 2009

dushman ko bhee seene se lagana nahin bhoole

dushman ko bhee seene se lagana nahin bhoole

hum apne buzurgon ka zamana nahin bhoole

 

tum aankhon ki barsaat bachaaye huye rakhna

kuch log abhi aag lagaana nahin bhoole

 

ye baat alag haath qalam ho gaye apne

hum aapki tasveer bananaa nahin bhoole

 

ik umr huyee main to hansi bhool chuka hoon

tum ab bhee mere dil to dukhaana nahin bhoole

 

-      Jagjit Singh

Saturday, November 22, 2008

kabhi ek neev laga kar to dekho..

kabhi ek neev laga kar to dekho..
usse zameen ki god mein chipa kar to dekho..
usse pyaar se paani pila kar to dekho..
usse surya ki roshni mein khila kar to dekho..
 
woh neev kaise paudha ban jaata hai, ye dekho..
woh kaise zameen se nikhar aata hai, ye dekho..
woh kaise paani se fal ban jaata hai, ye dekho..
who kaise apni mahek failata hai, ye dekho..
 
kabhi ek neev laga kar to dekho..
 

Friday, November 07, 2008

Himmat Karne Waalon Ki Haar Nahi Hoti Hai..

लहरों से डर कर नौका पार नहीं होती

हिम्मत करने वालों की कभी हार नहीं होती...

नन्ही चींटी जब दाना लेकर चलती है

चढ्ती दीवारों पर सौ बार फिसलती है

मन् का विश्वास रगों में साहस बनता है

चढ़ कर गिरना , गिर कर चढ़ना ना अखरता है

आखिर उसकी मेहनत बेकार नहीं होती

कोशिश करने वालों की हार नहीं होती....

डुबकियां सिंधु में गोताखोर लगता है

जा जा कर खाली हाथ लौट आता है

मिलते ना सहज ही मोती पानी में

बहता दूना उत्साह इसी हैरानी में

मुट्ठी उसकी खाली हर बार नहीं होती

हिम्मत करने वालों की हार नहीं होती....

असफलता एक चुनौती है स्वीकार करो

क्या कमी रह गयी देखो और सुधार करो

जब तक ना सफल हो नींद चैन की त्यागो तुम

संघर्षों का मैदान छोड़ मत भागो तुम

कुछ किये बिना ही जय जयकार नहीं होती

हिम्मत करने वालों की हार नहीं होती....

- Poem by Suryakant Tripathi "Nirala"