kuch na kuch to zarur hona hai 
saamna aaj unse hona hai
todo phainko rakho karo kuch bhi
dil hamara hai kya khilona hai
zindagi aur maut ka matlab 
tumko paana hai tumko khona hai
itana darna bhi kya hai duniya se 
jo bhi hona hai vo to hona hai
uth ke mehfil se mat chale jaana 
tumse roshan ye kona kona hai
- Jagjit Singh
 
 
No comments:
Post a Comment