Tuesday, April 28, 2009

Main Aur Meri Tanhaayee

Awaara hai galiyon mein main aur meri tanhaayee
Jaayen to kahan jaayen har mod pe ruswayee
Main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

Ye phool se chehre hain hanste huye guldaste
Koi bhee nahin apna begaane hain sab raste
Raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee
Main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

Armaan sulagte hain seene mein chitha jaise
Qaatil nazar aati hai duniya ke hawa jaise
Roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee
Main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

Har rang mein ye duniya sau rang dikhaati hai
Rokar kabhi hansti hai hanskar kabhi gaati hai
Ye pyaar ki baahen hain ya maut ki angdaayee
Main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

- Jagjit Singh