Tuesday, August 12, 2008

Shayad Mein Zindagi Ko Kabhi Samajh Na Paya..

Shayad mein zindagi ko kabhi samajh na paya..
Haste chehre mein chipe gam ko kabhi parakh na paya..
 
Aandhiyon ko paar to kar gaya mein,
Par meri kashti to kinara de na paya..
 
Andhere mein ek diya to jala liya,
Par mere dil mein roshni bhar na paya..
 
Aasman maine choo to liya,
Par us unchaai tak pahunch na paya..
 
Har saal apni umr badha to liya,
Par apni zindagi ko kabhi ji na paya..
 
Shayad mein zindagi ko kabhi samajh na paya..